shikwa na ho tasalsul-e-ah-o-fughan rahe wo chahte hain aag na bhadke dhuan rahe lail-o-nahaar pahle jo the ab kahan rahe han yaad hai ki tum bhi kabhi mehrban rahe qurbat mein aa pade the qayamat ke fasle tanha the hum to qaul-o-qasam darmiyan rahe har gam par hain dar-o-rasan ki sahulaten ab jism-o-jaan lutao ki nam-o-nishan rahe yun muskura ke tark-e-talluq ki guftugu aisa sitam ki jis pe karam ka guman rahe rahon ke pech-o-kham mein musafir bikhar gae ab karwan qayam kare ya rawan rahe khushbu-e-pairahan mein basa hai ruwan ruwan wo hum se lakh dur rahe juzw-e-jaan rahe