jo mita hai tere jamal par wo har ek gham se guzar gaya huin jis pe teri nawazishen wo bahaar ban ke sanwar gaya teri mast aankh ne ai sanam mujhe kya nazar se pila diya ki sharab-khane ujad gae jo nasha chadha tha utar gaya tera ishq hai meri zindagi tere husn pe main nisar hun tera rang aankh mein bas gaya tera nur dil mein utar gaya ki khirad ki fitnagari wahi lute hosh chha gai be-khudi wo nigah-e-mast jahan uthi mera jam-e-zindagi bhar gaya dar-e-yar tu bhi ajib hai hai ajib tera khayal bhi rahi kham jabin-e-niyaz bhi mujhe be-niyaz bhi kar gaya tere did se ai sanam chaman aarzuon ka mahak utha tere husn ki jo hawa chali to junun ka rang nikhar gaya mujhe sab khabar hai mere sanam ki rah-e-'fana' mein hayat hai use mil gai nai zindagi tere aastan pe jo mar gaya