sarab-e-dil se musalsal fareb kha raha hun main ek umr se apne khilaf ja raha hun yaqin-o-shak ki ajab kaifiyat se hun do-chaar bichha raha hun musalla kabhi utha raha hun mera ghurur hai ye khak-zadgi meri main phir farishto tumhein baat ye bata raha hun tilism-e-lafz-o-maani ke pher mein phans kar ba-shakl-e-nazm-o-ghazal khun-e-dil baha raha hun khiyam-e-ashk mein jhulsi padi hai koi mushk main apni pyas ka qissa use suna raha hun bhula ke sare taqaze radif-e-maut ke main faqat hayat ka har qafiya nibha raha hun