jo mohabbat ko ikhtiyar kare harf-e-matlab na aashkar kare aadmi ko buland rahna hai pastiyon ko na ikhtiyar kare hai wo insan qadr ke qabil aadamiyat ko jo shiar kare hum to mar mit chuke hain jite ji maut ka kaun intizar kare hum bhi rakhte hain pas-e-khuddari kaun izhaar-e-haal-e-zar kare chaak hai jis ka daman-e-hasti kyon gareban ko tar-tar kare shauq hai jis ko khak hone ka mazhab-e-ishq ikhtiyar kare hum hain masruf-e-did-e-mushaf-e-rukh kaun nazzara-e-bahaar kare nabz dubi mariz-e-ulfat ki chaara-gar khak kya shumar kare