har aadmi hai mubtala ranj-o-azab mein aaram se hai kaun jahan-e-kharab mein rindon ko kab hai dozakh-o-jannat se wasta zahid magar lage hain husul-e-sawab mein jo log hain zamane mein sargarm-o-mustaid rahte nahin ulajh ke khayal aur khwab mein jis ki ziya se honi thi tazin-e-kaenat wo husn chhup saka na kisi bhi hijab mein duniya hai jis ka nam mukammal fareb hai ahl-e-nazar na khoen kabhi is sarab mein ye waqia hai hazrat-e-‘saqi’ ki zindagi ab qaid ho ke rah gai jam-e-sharab mein