jo mustahiq hain asl mein aab-e-hayat ke pyase wahi milenge kinare furaat ke ab ek nai lughat ke hawale se baat kar ab khair-o-shar mein rang kahan hain sabaat ke mazhab se hat ke khoj karen to pata chale mabain kya tha ghaznawi-o-somnat ke suraj ki raushni mein bula kar na kar zalil rahne de raat mein jo parinde hain raat ke afsos un se kaba-e-dil ho na saka pak charche wahi hain aaj bhi lat-o-manat ke aawara phir rahe hain jadon ki talash mein hum phul phul ghumte bhanwre hayat ke kya kya hawas hai hazrat-e-'jawed' ko na puchh paband hain agarche wo saum-o-salat ke