mujhe tha naz ek dil par hua nazr-e-junun wo bhi junun kaisa ki husn-e-yar ka tha ek fusun wo bhi mohabbat ko junun to hum bhi kahte hain magar phir bhi jise kahte hain sab tark-e-mohabbat hai junun wo bhi mohabbat ek shoala jis mein garmi bhi ujala bhi jise samjha tha saz-e-ishq hai soz-e-darun wo bhi agar jannat faqat aasudgi kaam-o-dahan ki hai to phir kyon meri nazron mein na ho duniya-e-dun wo bhi tumhaari nazr ke qabil agar kuchh tha to dil mera magar hai panja-e-alam mein said-e-zabun wo bhi rahe duniya ke talib tark-e-duniya kar ke bhi dekha tamannaon ka khun ye bhi tamannaon ka khun wo bhi dayar-e-ishq mein hum khaksar achchhe rahe 'jawed' jo sarkash the yahan pae gae hain sar-nigun wo bhi