jo na ho dard-ashna wo sarKHushi kis kaam ki

jo na ho dard-ashna wo sarkhushi kis kaam ki
shairi tamsil ya surat-gari kis kaam ki

gham jo auron ka ho apna gham samajh kar lijiye
warna dil ka soz aankhon ki nami kis kaam ki

ek jaise hon agar sang-o-samar kya dekhna
sehn-e-yakh-basta mein koi raushni kis kaam ki

khak-dan-e-tira mein ek aalam-e-raushan bhi hai
be-junun bhi ye munawwar aagahi kis kaam ki

wo to ek sailab tha sab kuchh baha kar le gaya
nam ki takhti sar-e-diwar thi kis kaam ki

ranj harf-e-na-shunida aasman na-ashna
ai hawa-e-dard aashufta-sari kis kaam ki

irtibaat-e-chashm-o-lab ka bhi koi saman to ho
warna us khal-e-siyah ki dilkashi kis kaam ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close