mere banne se kya kya ban raha tha

mere banne se kya kya ban raha tha
main banne ko akela ban raha tha

aur ab jab tan chuka to sharm aai
kai din se ye parda ban raha tha

ziyaada ho rahi thin do saraen
main phir mahfil ka hissa ban raha tha

qayamat aur qayamat par qayamat
main khush tha mera halqa ban raha tha

falak mit sa gaya hadd-e-nazar tak
sitara hi ek aisa ban raha tha

nasheb-e-shahr tha yun roz-afzun
miyan-e-shahr zina ban raha tha

kharabi mein ye kham aaya achanak
kharaba achchha-khasa ban raha tha

main aadha jism ja baitha wahin par
jahan baqi ka aadha ban raha tha

aur ab jab kuchh na ban paya to bole
yahi to tha jo kab ka ban raha tha

adakari numu-dari thi yaksar
main na-maujud kitna ban raha tha

thahar jaana zarurat se tha yani
guzar jaane ka lamha ban raha tha

mujhe aasan tha hona na hona
zamana mit raha tha ban raha tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close