jo nahin hai usi manzar mein bahut hota hai ye suna hai to mere ghar mein bahut hota hai haarna mera muqaddar hai ye sab jaante hain shor phir kyun mere lashkar mein bahut hota hai aise hi aati nahin ishq mein sajda-sifati khun ka zor qalandar mein bahut hota hai waqt se dahr ki har chiz pe hota hai asar kam jo dikhta hai muqaddar mein bahut hota hai pyas bujhti hai kahan tishna-labon ki is se pani kahne ko samundar mein bahut hota hai kuchh karishma bhi dikhati hai lahu ki khushbu kuchh maza bhi hawas-e-zar mein bahut hota hai 'tur' wo chahe to sarsabz mujhe bhi kar de moajaza dast-e-hunar-war mein bahut hota hai