jab dahr ke gham se aman na mili hum logon ne ishq ijad kiya kabhi shahr-e-butan mein kharab phire kabhi dasht-e-junun aabaad kiya kabhi bastiyan ban kabhi koh-o-daman raha kitne dinon yahi ji ka chalan jahan husn mila wahan baith rahe jahan pyar mila wahan sad kiya shab-e-mah mein jab bhi ye dard utha kabhi bait kahe likhi chand-nagar kabhi koh se ja sar phod mare kabhi qais ko ja ustad kiya yahi ishq bil-akhir rog bana ki hai chah ke sath ba-jog bana jise banna tha aish wo sog bana bada man ke nagar mein fasad kiya ab qurbat-o-sohbat-e-yar kahan lab o aariz o zulf o kanar kahan ab apna bhi 'mir' sa aalam hai tuk dekh liya ji shad kiya