jo nahin kiya ab tak be-hisab karna hai apne har rawayye se ijtinab karna hai ab to kaam aaegi be-guman saffaki khush-gawar phulon ko aaftab karna hai rang apni chhatri ka dhup ne mita dala subh hone se pahle phir khizab karna hai sarfarosh lahron ki sarfaroshiyan kab tak sarfarosh lahron ko zer-e-ab karna hai raste zehanat ke tajiron pe khulte hain is sadi ke chehron ko be-naqab karna hai