jo naqsh mit chuka hai banana to hai nahin ujda dayar hum ne basana to hai nahin aankhon ke dip rah mein us ke jalaen kya is ne palat ke phir kabhi aana to hai nahin lazim hai chalna zist ki rahon pe bhi magar jo gir pade kisi ne uthana to hai nahin bhar jaega ye thodi si chaaragari ke baad taza laga hai zakhm purana to hai nahin kab tak wafa ke mani batata rahun use us bewafa ne rah pe aana to hai nahin kuchh der thahar jae wo khud hi khuda kare is bar koi aisa bahana to hai nahin phir khwahishon ke ped pe baithenge dekhna in panchhiyon ka koi thikana to hai nahin allah-re wafaen ye khuban-e-shahr ki manzar dhuan dhuan hai suhana to hai nahin mansub kar dun main jo teri zindagi ke sath yaadon ka mere pas khazana to hai nahin kyun phir kisi ke dil mein mohabbat basaen hum jab aashiqi mein nam kamana to hai nahin qismat hai is ke samne ban jae koi baat waise koi bhi baat banana to hai nahin sochun to sare log nishane pe hain magar dekhun koi kisi ka nishana to hai nahin wo apna dard aap sunae to baat hai hum ne kisi ka dard sunana to hai nahin ek dusre ki ghat mein baithe hain sab magar is waqt ne kisi ko bachana to hai nahin hai tairan-e-shauq ka maslak to khamushi hai maslahat ki shor machana to hai nahin ishq-o-nazar ka daimi rishta azal se hai majnun ne shahr chhod ke jaana to hai nahin hasil kiya na is liye tamir ka hunar hum ne naya jahan basana to hai nahin kaise rasai ho meri us ke mizaj tak ahwal us ne dil ka sunana to hai nahin mahrum hum na hon kabhi man ki duaon se nayab aisa koi khazana to hai nahin dekhega kaun chaak-e-gareban ko 'nabil' farhad-o-qais ka ye zamana to hai nahin