wo dil ki tha kabhi sarsabz khetiyon ki tarah

wo dil ki tha kabhi sarsabz khetiyon ki tarah
sulag raha hai jhulaste hue thalon ki tarah

ye sher jis ki zamin ko bhi mujh se shikwe hain
rahega yaad purani mohabbaton ki tarah

kisi jagah pe bhi sayyah dil thahar na saka
jahan ki sair ko nikle musafiron ki tarah

utarti zehan mein bhi khush-gawar dhup kabhi
shuru-e-garma ke khulte hue dinon ki tarah

lahu rulati hai be-waqt tang karti hai
hai us ki yaad bhi be-rut ki barishon ki tarah

tumhaari chah ka anjam dekhiye kya ho
laga ke baithe hain daw juariyon ki tarah

khud apne sae se bhi kanp kanp uthta hun
main sahma phirta hun mafrur mulzimon ki tarah

us aankh mein koi be-rang si kashish thi 'riyaz'
purane qilon mein kunda ibaraton ki tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close