jo nish-e-gham se be-parwa na hoga tumhaara chahne wala na hoga jo teri yaad mein aansu bahega wo jaanan gauhar-e-yak-dana hoga hasin-o-mah-jabin honge jahan mein magar kafir ada tujh sa na hoga hai tu parde mein aur shor ek jahan mein ye parda jab utha phir kya na hoga tadap jis dil mein yazdan ki na hogi to ahriman ka wo kashana hoga gulistan aaj sarmast-e-nawa hai chaman mein jalwa-e-jaanana hoga na ho shair jo sham-e-bazm-e-hasti jahan mein ishq ka jalwa na hoga na honge hum nawasanj-e-bahaaran to gulzar-e-jahan virana hoga na chheden hum agar tar-e-rag-e-jaan nawa-e-zindagi paida na hoga rukh-e-zeba ki taswir-e-khyali tere 'nazir' ka ye nazrana hoga