koi shama aur koi parwana hoga jahan mein ishq ka afsana hoga junun-e-ishq se hai lutf-e-hasti wo diwana hai jo faraazana hoga tere maston ka ai kausar ke saqi wahi paiman wahi paimana hoga kharabaat-e-jahan waqf-e-fana hai magar baqi tera mai-khana hoga rawan hain karwan jis ki taraf sab yahi wo kucha-e-jaanana hoga wo dil hi kya ki raqs-e-mauj jis ka harif-e-jumbish-e-dariya na hoga wabaal-e-dosh hai wo sar ki jis mein kisi ke ishq ka sauda na hoga jise shahd-o-shakar ki aarzu hai lab-e-noshin ka wo rasiya na hoga mohabbat ke hain ranga-rang nairang kahin afsun kahin afsana hoga parastari hai tinat mein bashar ki jahan kaba nahin but-khana hoga payami se kisi ne kah diya hai ki 'nazir' se koi parwana hoga