jo palkon par meri thahra hua hai wo aansu khun mein duba hua hai farishte khwan le kar aa rahe hain sahifa taq mein rakkha hua hai koi anhoni shayad ho gai phir ghubar-e-karwan thahra hua hai kisi ki khwahishen pa-basta kar ke ye kab socha haram ruswa hua hai wo ek lamha jo tere wasl ka tha bayaz-e-hijr par likkha hua hai mujhe bhi ho gaya irfan-e-zat ab muqabil aaina rakkha hua hai ayaadat karne sab aae hain 'akhtar' tera chehra magar utra hua hai