teri yaaden hain jinhen dil mein basa rakkha hai hum ne is aag ko sine mein daba rakkha hai shahr ho dasht-e-tamanna ho ki dariya ka safar teri taswir ko sine se laga rakkha hai ye to mumkin hi nahin husn ka faizan na ho ishq ne husn ko arman bana rakkha hai kaisa suraj hai ki deta nahin zulmat ko shikast kyun andheron ne ujalon ko daba rakkha hai tishnagi apni mita le ki hansnegi duniya pi to le saghar-e-taslim-o-raza rakkha hai haq ke lashkar mein sipahi hain bahut thode se hum ne hi hausla baatil ka badha rakkha hai kab nikalna hai use ye bhi bata sakti hai zulmat-e-shab ne bhi suraj ka pata rakkha hai khugar-e-zabt hain ruswa na karenge tujh ko hum ne duniya se tere gham ko chhupa rakkha hai dil jo tute hain unhen jod ke dikhlao 'shahid' warna in kashf-o-karamat mein kya rakkha hai