jo puchha kya mariz-e-gham ka darman ho nahin sakta to sale ne kaha hans kar ke han han ho nahin sakta bas ab barah baras ke ho gae khatna kara dalo musalmani na ho jis ki musalman ho nahin sakta na hoga qais to us ki jagah hum ja-nashin honge ki diwanon se ye khali bayaban ho nahin sakta kaho chaaragaron se ek dam bahar nikal jaen kabhi un se mariz-e-gham ka darman ho nahin sakta paden jute hazaron sar pe lekin main na niklunga tere kuche ke ham-sar bagh-e-rizwan ho nahin sakta abe sayyaad kyon jhuti tasalli mujh ko deta hai qafas mein phul rakhne se gulistan ho nahin sakta shab-e-wada jo karna tha main karta hi raha un se wo kahte hi rahe pura ye arman ho nahin sakta laga de aag un ke ghar mein aur dushman ke chhappar mein zara sa kaam tujh se aah-e-sozan ho nahin sakta hakim-o-doctor ko 'bum' sahab kyon bulate ho kabhi un se ilaj-e-dard-e-hijran ho nahin sakta