josh par yun jazba-e-be-ikhtiyar aa hi gaya dekh kar un ko barahna mujh ko pyar aa hi gaya ghair jab khalwat se nikla daud kar main ne kaha dusra bhi aap ka umid-war aa hi gaya tha nazakat se bahut majbur phir bhi baad-e-marg sala uthta baithta su-e-mazar aa hi gaya us ka sine se lipatna tha ki taskin ho gai be-qarari ko meri kuchh to qarar aa hi gaya intizari mein kisi ke raat bhar tadpa kiye jhute wade ka kisi ke e'tibar aa hi gaya un ka bimar-e-mohabbat sunte hi elan-e-did tham kar dil girta padta be-qarar aa hi gaya khauf-e-badnami se go aksar chhupaya jurm ko lab par un ka nam phir bhi bar bar aa hi gaya