jo puchha main ne yan aana mera manzur rakhiyega to sun kar yun kaha ye baat dil se dur rakhiyega bahut roin ye aankhen aur padi din raat roti hain ab in ko chashm bhi kijega ya nasur rakhiyega jo parda bazm mein munh se uthate ho to ye kah do ki phir yan shama ke jalne ka kya mazkur rakhiyega diya dil hum ne tum ko aur to ab kya kahen lekin ye virana tumhaara hai use mamur rakhiyega 'nazir' ab to dil-o-jaan se tumhaara ho chuka banda miyan apne ghulamon mein use mashhur rakhiyega