zor paida jism o jaan ki na-tawani se hua shor shahron mein musalsal be-zabani se hua der tak ki zindagi ki khwahishen us but ko hain shauq us ko intiha ka umr-e-fani se hua main hua nakaam apni be-yaqini ke sabab jo hua sab mere dil ki bad-gumani se hua hai nishan mera bhi shayad shash-jihat-e-dahr mein ye guman mujh ko khud apni be-nishani se hua tha 'munir' aaghaz hi se rasta apna ghalat is ka andaza safar ki raigani se hua