jo sahra hai use kaise samundar likh diya jae ghazal mein kis tarah rahzan ko rahbar likh diya jae qalam ke dosh par ho imtihan ka bojh jis had tak magar haq to ye hai patthar ko patthar likh diya jae kisi inam ki khatir na hoga hum se ye hargiz ki ek shahin ko jangali kabutar likh diya jae sitam ki dastan kis raushnai se raqam hogi lahu ki dhaar se daftar ka daftar likh diya jae kisanon ko mayassar jab nahin do waqt ki roti to aise khet ko be-sud-o-banjar likh diya jae hamari tishnagi se bhi koi masrur hota hai hamari pyas ko labrez saghar likh diya jae qalam ko main ne bhi talwar aakhir kar liya 'talib' meri nok-e-qalam ko nok-e-khanjar likh diya jae