jo sarguzisht apni hum kahenge koi sunega to kya karenge jo yaad aaengi teri baaten to chup hi pahron raha karenge jo chaho kah lo yahi khushi hai to hum bhi phir kyun gila karenge jo kuchh sunaegi apni qismat tumhaare munh se suna karenge kise gharaz hai phir aap ko kyun sanam ka banda kaha karenge jo yunhi hum ko bhulaenge wo to hum bhi yaad-e-khuda karenge abas ye har-dam ka chaunkna hai abas ye uth uth ke dekhna hai bhala wo aise hue the kis din wahi to wada wafa karenge ilahi qasid abhi na aae ki ye tawaqqoa bhi hai ghanimat kiya gar inkar saf us ne to dil ki taskin kya karenge lo mil bhi jao na kuchh tumhaari khata thi us dam na kuchh hamari jo ye hi dil ke muamle hain to yunhi jhagde raha karenge hamein to dekho ye kya hua hai ki un ke kahne ka phir yaqin hai wo jo jhut yunhi kaha karenge adu se yunhi mila karenge sitam ki kije agar shikayat to kahte hain bas tumhein bhi dekha yahan kuchh aisi gharaz hai kis ko kisi pe hum kyun jafa karenge ye sach hai naseh! na hoga milna nahin hai achchha na hoga achchha phir aap ko kya bura kahenge to apne haq mein bura karenge 'nizam' taqrir phir abas hai jawab kuchh us ka de sakoge wo us ka har baat par ye kahna ki hum to apna kaha karenge