mauj-dar-mauj nazar aata tha sailab mujhe panw dala to ye dariya mila payab mujhe but to duniya ne ba-har-gam tarashe lekin sar jhukane ke na aae kabhi aadab mujhe shiddat-e-karb se kumhla gae chehre ke khutut ab na pahchan sakenge mere ahbab mujhe ek saya ki mujhe chain se sone bhi na de ek aawaz ki karti rahe betab mujhe jis ki khwahish mein kisi baat ki khwahish na rahe aisi jannat ke dikhae na koi khwab mujhe wusaten daman-e-sahra ko bhi bakhshi hotin tu ne bakhshi thi agar fitrat-e-simab mujhe