jo shab ko manzar-e-shab tab mein tabdil karte hain wo lamhe nind ko bhi khwab mein tabdil karte hain jo aansu dard ki gahraiyon mein dub jate hain wahi aankhon ko bhi girdab mein tabdil karte hain kisi jugnu ko hum jab raat ki zinat banate hain zara si raushni mahtab mein tabdil karte hain agar mil kar baras jaen yahi bikhre hue baadal to phir sahraon ko sailab mein tabdil karte hain jo mumkin ho to un bhule hue lamhat se bachna jo aksar khun ko zahrab mein tabdil karte hain yahi qatre banate hain kabhi to ghas par moti kabhi shabnam ko ye simab mein tabdil karte hain kahin dekhi nahin ai 'shad' hum ne aisi khush-haali chalo is mulk ko punjab mein tabdil karte hain