is intishaar ka koi asar bhi hai ki nahin tujhe zawal ki apne khabar bhi hai ki nahin kahin fareb na deti hon mil ke kuchh maujen jahan tu dub raha hai bhanwar bhi hai ki nahin yaqin karne se pahle pata laga to sahi ki tere dil ki sada mo'tabar bhi hai ki nahin ye roz apne taaqub mein dar-ba-dar phirna bata masafat-e-hasti safar bhi hai ki nahin kabhi tu apne khazine uchhaal sahil par kisi sadaf mein ye dekhen guhar bhi hai ki nahin main jis ki shakh pe chhod aaya aashiyan apna ye sochta hun ki ab wo shajar bhi hai ki nahin hawa se le to liya dher sukhe patton ka na jaane rakh mein meri sharar bhi hai ki nahin main jis ke chaak pe rakkha hun 'shad' dhalne ko mujhe to shak hai ki wo kuza-gar bhi hai ki nahin