jo shakhs muddaton mere shaidaiyon mein tha aafat ke waqt wo bhi tamashaiyon mein tha us ka ilaj koi masiha na kar saka jo zakhm meri ruh ki gahraiyon mein tha wo the bahut qarib to thi garmi-e-hayat shola hujum-e-shauq ka purwaiyon mein tha koi bhi saz un ki tadap ko na pa saka wo soz wo gudaz jo shahnaiyon mein tha bazm-e-tasawwuraat mein yaadon ki raushni aalam ajib raat ki tanhaiyon mein tha us bazm mein chhidi jo kabhi jaan-dahi ki baat us dam hamara zikr bhi saudaiyon mein tha kuchh waz-e-ehtiyat se 'bano' the hum bhi dur kuchh doston ka hath bhi ruswaiyon mein tha