jo shakhs tujh ko farishta dikhai deta hai wo aaine se dara sa dikhai deta hai kiya tha dafn jise farsh ke tale kal raat wo aaj chhat se utarta dikhai deta hai teri nigah mein mumkin hai kuchh atak jae mujhe to sirf andhera dikhai deta hai sawal zehn mein chubhte hain nashtaron ki tarah ye khun bhi mujhe hota dikhai deta hai khala mein dub chuki hai nigah jab meri wo puchhte hain tujhe kya dikhai deta hai nigalta jata hai chup-chap khushk jangal use ye aaftab to thanda dikhai deta hai naqab badlo kuchh aise ki moajiza ho jae hujum warna bikharta dikhai deta hai tumhaari yaad ke dariya tamam sukh chale jahan-tahan mujhe sahra dikhai deta hai sadaen gunjti rahti hain raat-bhar kis ki makan waise to suna dikhai deta hai jo ped tum ne lagaya tha mere aangan mein wo is baras mujhe girta dikhai deta hai