jo sun kar lagi zer-e-lab muskurane

jo sun kar lagi zer-e-lab muskurane
ye kya kah diya tha kali se saba ne

mere sher anmol lal-o-gohar hain
lutae tere gham ne kya kya khazane

shafaq khil uthi champai aarizon par
nikhaara tere rang-e-rukh ko haya ne

raha hai wahi dil ka ehsas-e-ulfat
badalte rahe lakh karwat zamane

mohabbat ka un ko yaqin aa chala hai
haqiqat bane ja rahe hain fasane

jhijhak kar kisi ne churain jo nazren
charagh-e-tamanna laga jhilmilane

kabhi ye bhi socha hai ai hansne walo
agar pad gae tum ko aansu bahane

wo tufan baad-e-mukhalif kahan hai
jo uttha tha ai 'naqsh' mujh ko mitane


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close