mere sar mein jo raat chakkar tha us ke zanu pe ghair ka sar tha apne ghar un ko kya bulate hum boriya bhi nahin mayassar tha zabt-e-dil par bhi us ki mahfil mein apna rumal ashk se tar tha jaan dene mein soch kya karte muflisi par bhi dil tawangar tha khub-o-zisht-e-jahan ka farq na puchh maut jab aai sab barabar tha aap jab tak na le chuke the dil kuchh mizaj aur banda-parwar tha hijr lahiq hua visal ke baad kya hi ulta mera muqaddar tha jaur-e-ada ki tab kya lata dil-e-kam-bakht naz-parwar tha sohbat-e-hur se hui nafrat main jo teri ada ka khugar tha hai 'asar' ya nahin khuda jaane sunte hain us ka haal abtar tha