jo tera rang tha us rang se na kah paya main dil ki baat kabhi dhang se na kah paya kisi khayal mein tartib koi thi hi nahin so sher koi bhi aahang se na kah paya briadri ke kisi faisle ne bandh diya main dil ki baat meri mang se na kah paya shahid hone se pahle use bhi dekhna tha magar ye baat use jang se na kah paya ajib si koi khwahish thi tutne ki 'zubair' main aaina tha magar sang se na kah paya