jo tere dar pe meri jaan aaya mar gaya kahta main kahan aaya dekhen ab kis ka parda utthega harf-e-shikwa sar-e-zaban aaya mat utha is ko sau jihat se hae dar pe tere ye na-tawan aaya tere hathon se be-qarari-e-dil ji hamara bhi ab ba-jaan aaya tu to ek hi taraf se yan se gaya gham hazaron taraf se yan aaya mar hi jaana bhala hai mir-'raza' yar ab bahr-e-imtihan aaya