saza hi di hai duaon mein bhi asar de kar zaban le gaya meri mujhe nazar de kar khud apne dil se mita di hai khwahish-e-parwaz uda diya hai magar us ko apne par de kar nikal pade hain sabhi ab panah-gahon se guzar gai hai siyah shab gham-e-sahar de kar use main apni safai mein kya bhala kahta wo puchhta tha jo mohlat bhi mukhtasar de kar pukarta hun ki tanha main rah gaya hun 'nasim' kahan gaya hai wo mujh ko meri khabar de kar