jo tere dard hain wahi sab mere dard hain kahne ko apni apni jagah fard fard hain dhundla gae hain aks nazar hai bhanwar bhanwar khwabon mein bhi khayal ke aaine gard hain peshaniyon pe waqt shikan-dar-shikan nahin chehra-ba-chehra likhe hue dil ke dard hain ek dusre ko jaan ke pahchante nahin hum log sare ek qabile ke fard hain bhigi hatheliyon se na padh kal ki zindagi gahri har ek lakir sahi hath sard hain ye khushk lab ye panw ke chhaale ye sar ki dhul hum shahar ki faza mein bhi sahra-naward hain 'iqbaal' jab se phul hain gul-dan ke asir khushbu udi udi si hai aur rang zard hain