gum dhundlakon mein hui rahguzar tere baad ruk gaya jaise sitaron ka safar tere baad tab-e-nazzara kahan thi teri jalwat mein hamein dhundhti hai teri surat ko nazar tere baad dekhte dekhte andaz-e-gulistan badla phul the phul shajar the na shajar tere baad yun to dekhe the bahut rup jahan ke hum ne wo bhi ek rup tha jo aaya nazar tere baad aarzu le ke teri chal to pade the ghar se ab ye mushkil hai ki hum jaen kidhar tere baad fan ko suli pe chadhaya gaya fankar ke sath qarya qarya biki namus-e-hunar tere baad kis qadar tha rag-e-jaan mein tu hamari paiwast is haqiqat ki hui hum ko khabar tere baad hai ye zulmat hi muqaddar to pukaren kis ko kis se malum karen apni khabar tere baad yun faraghat hai har ek kaam se hum ko jaise khatm hai silsila-e-sham-o-sahar tere baad raunaqen tujh se thin sari so tere sath gain shahar ka shahar hua ek khandar tere baad kash ho sakta kisi tarah tujhe bhi malum haal 'iqbaal' ka hai kitna digar tere baad