jo tere munh se na ho sharmsar aaina to rukh kare su-e-aina-dar aaina kahe hai dekh ke rukhsar-e-yar aaina ki is safai pe sadqe nisar aaina siyah-ru na kare tark-e-ulfat-e-gulfam main bul-hawas ko dikhaun hazar aaina safa-e-dil ki kahan qadr-e-tira-rozi mein charagh-e-subh hai shab-ha-e-tar aaina samajh liya magar is sabz rang ko tuti ki hai nazare ka ummid-war aaina wo sakht-jaan hun ki dikhlaen gar dam-e-murdan to tod de kamar-e-kohsar aaina muqabil us rukh-e-raushan ke khul gai qali na thahra aag pe simab-war aaina sama rahe hain magar tere nau-ba-nau jalwe ki ban gaya hai tilism-e-bahaar aaina shikast-e-rang pe masti mein hanste hain hum bhi dikhaenge unhen waqt-e-khumar aaina mujhe to kahte ho mat dekh meri jaanib tu aur aap dekhte ho bar bar aaina bala hai man-e-wafa nur ud gaya naseh tu le ke dekh to rang-e-azar aaina samajh tu 'momin' agar narawa ho khud-bini to dekhen kahe ko parhez-gar aaina