kaho to aaj dil-e-be-qarar kaise ho shab-e-alam ke satae nazar kaise ho hawas yahi hai ki puchhe wo aa ke hum se kabhi hamari did ke ummid-war kaise ho tadap rahe ho lahad mein ki chain-o-rahat hai kaho to mujh se ki ahl-e-mazar kaise ho na is tarah karo pamal dil ko aashiq ke samand-e-naz ko roko sawar kaise ho hamari rah na khoti karo khuda ke liye hamein satao na sahra ke khar kaise ho kinara khwab ko hai chashm-e-tar se aashiq ke khayal-e-jalwa-e-didar-e-yar kaise ho 'jamila' meri zaban se na kuchh nikal jae wo mujh se puchhte hain bar bar kaise ho