jo tere ru-e-darakhshan pe nazar rakhte hain wo khayalon mein kahan shams-o-qamar rakhte hain rasta ye teri chahat ka nikala hum ne bas tere chahne walon pe nazar rakhte hain wo bahut dur hain is baat ka gham hai lekin ye bahut hai wo meri khair-khabar rakhte hain hum tere gham ko chhupaen to chhupae kaise dushmani mujh se mere dida-e-tar rakhte hain barha bar-e-samar hans ke uthaya hum ne shakh-e-nazuk hain magar man ka jigar rakhte hain phir tere zulm ki zad par na kahin aa jaen aise mazlum jo aahon mein asar rakhte hain sar-bulandi ka nasha jin ko chadha hai saqi shauq se wo teri dahliz pe sar rakhte hain manzilen un ki qadam-bos hui hain aksar khud ko jo rah mein sargarm-e-safar rakhte hain hum 'suman' dard ke sae mein tabassum lab par rakhna hota to hai dushwar magar rakhte hain