jo teri afshan sanwaren zindagi ai zindagi roz-o-shab aise guzaren zindagi ai zindagi badh gaya dariya ka pani kaf udata mauj mauj ud gain kunjon ki daren zindagi ai zindagi har taraf chhaya hua hai ek sukut-e-bekaran phir bhi hum tujh ko pukaren zindagi ai zindagi teri surat par guman-e-dasht-o-sahra hae hae tere qadmon mein bahaaren zindagi ai zindagi sar uthaen dar par yaaden sar-e-maqtal sada naqsh tere hi ubhaaren zindagi ai zindagi jin ke honton par sada rahte hain tere zamzame un ke sinon mein kataren zindagi ai zindagi shahr hai aakhir ye koi sard virana nahin jine wale dam na maren zindagi ai zindagi den jo tujh ko fursat yak do nafas ki tohmaten un se bhi hum log haaren zindagi ai zindagi dur tak milta na ho nam-o-nishan tera jahan hum wahan daman pasaren zindagi ai zindagi