dil mein khayal-e-yar hai jasus ki namat rakhta hun is kun nang sun namus ki namat viran hai sina bas-ki tere baj ai sanam fariyaad-e-dil hai naghma-e-naqus ki namat us rashk-e-mahr pas pahunchne ka shauq hai is waste anjhun hain mere us ki namat is fasl-e-nau-bahaar mein be-baada-e-ghurur har bul-hawas hai rang mein taus ki namat us shama-ru ke ishq mein 'daud' gal sakal tan ho raha hai parda-e-fanus ki namat