jo the hath mehndi lagane ke qabil hue aaj khanjar uthane ke qabil anadil bhi kaliyan bhi gul bhi saba bhi ye sohbat hai hansne-hansane ke qabil hina ban ke main chum lun dast-e-nazuk tere hath hain rang lane ke qabil jawani ka ab rang kuchh aa chala hai wo ab ho chale hain satane ke qabil mujhe dekh kar dukht-e-raz tan rahi hai ye khinch kar hui hai udane ke qabil qayamat mein dekhenge kyunkar unhen hum nahin sharm se aankh uthane ke qabil banaen na ab us ko ab sham-e-mahfil jala dil nahin hai jalane ke qabil chaman mein uda un ko ai baad-e-sarsar mere tute par hain udane ke qabil bane shoale bijli ke qismat se meri jo tinke the kuchh aashiyane ke qabil budhape mein sabit hue duzd-e-mai hum na aane ke qabil na jaane ke qabil ye kahti hai hazrat ki rish-e-hinai 'riyaz' ab bhi hain rang lane ke qabil