wo arzan to karen jawon ko diwane bhi aate hain jahan shamen jala karti hain parwane bhi aate hain kuchh is andaz se aae teri mahfil mein diwane koi ye kah to de mahfil mein diwane bhi aate hain ye fitrat husn ki hai wo taqaza hai mohabbat ka wo dil ko todne ke baad samjhane bhi aate hain sabhi sehn-e-chaman mein phul chunne ko nahin aate kuchh apne damanon mein khar uljhane bhi aate hain mohabbat ke gulistanon mein phalne-phulne walo isi raste mein aage chal ke virane bhi aate hain nahin malum tark-e-dosti ke baad kyun mahshar wo tark-e-dosti par bahs farmane bhi aate hain