jo thi ilaqe mein sab se hasin bech aae hum apne purkhon ki sari zamin bech aae purane logon ne ganjon ko kanghiyan bechin nae jo log hain sanpon ko bin bech aae bharam tha dil mein jo mahfil ka wo bhi dil se gaya sukhan to bikta tha tum samain bech aae nahin ye gham ki amanat mein kyun khayanat ki mujhe ye dukh hai wo apna yaqin beach aae jo log khate hain urdu ke nam ki roti labon pe un ke hai bas sin shin bech aae pakad li zang mein lipti hoi nai tahzib mila tha hum ko jo sone sa din bech aae