andaz kisi ka hai sada aur kisi ki

andaz kisi ka hai sada aur kisi ki
hai chot koi aur dawa aur kisi ki

tabdil-shuda shakhs nazar aane laga wo
tewar mein saja kar ke ada aur kisi ki

ek shokh se sairab nazar hone lagi hai
qabiz hai magar dil pe haya aur kisi ki

rahta tha gurezan jo sada meri wafa se
dhunde hai wahi aaj wafa aur kisi ki

khamosh faza thame raha wo mere haq mein
main le ke chala aaya dua aur kisi ki

tufan mein chaman apne pareshan to bahut tha
aasuda nahin pa ke saba aur kisi ki

likha hi nahin jurm mere nam ke aage
hun pa ke bahut khush main saza aur kisi ki

hai khub darakhshan sa nae shahr mein aa kar
chipka ke badan par wo ziya aur kisi ki

ai 'sahni' kyun aisa hua mujh ko batana
raushan hai tere ghar mein faza aur kisi ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close