jo tu mera muqaddar bante bante rah gaya hai samajh le, kuchh kahin par bante bante rah gaya hai ye dil ke zakhm to waise ke waise hi hare hain ki tera lams mantar bante bante rah gaya hai main teri duri-o-qurbat se aage aa gai hun so tera naqsh dil par bante bante rah gaya hai ajab hi kya hai jo mujh ko nahin tu mil saka to mera har kaam aksar bante bante rah gaya hai kahani ibtida hi se bahut uljhi hui thi sabhi kuchh is mein behtar bante bante rah gaya hai