nawah-e-jaan mein kisi ke utarna chaha tha ye jurm main ne bas ek bar karna chaha tha jo but banaunga tera to hath honge qalam ye jaante hue jurmana bharna chaha tha baghair us ke bhi ab dekhiye main zinda hun wo jis ke sath kabhi main ne marna chaha tha shab-e-firaq ajal ki thi aarzu mujh ko ye roz roz to main ne na marna chaha tha kashid itr kiya ja raha hai ab mujh se ki mushk ban ke faza mein bikharna chaha tha us ek baat pe naraaz hain sabhi suraj ki main ne un sa ufuq par ubharna chaha tha laga raha hai jo sharten meri udanon par mere paron ko usi ne katarna chaha tha usi taraf hai zamana bhi aaj mahw-e-safar 'faragh' main ne jidhar se guzarna chaha tha