jo un se kaho wo yaqin jaante hain wo aise hain kuchh bhi nahin jaante hain bade jannati hain ye mai-khwar zahid mai-e-talkh ko angbin jaante hain jawani khud aati hai sau husn le kar jawan koi ho hum hasin jaante hain shab-e-mah banti hai har shab mere ghar ye sab baada-wash mah-jabin jaante hain banawat bhi ek fan hai jo jaanta ho teri sadgi kuchh hamin jaante hain nigahen na aankhon ke ghunghat se niklen adaen ghazab sharmgin jaante hain teri kam-nigahi se ubhre hain fitne tujhe ghair chin-bar-jabin jaante hain meri jaan par raat ban ban gai hai mera haal kuchh ham-nashin jaante hain jo waqif nahin lutf-e-tajdid se kuchh wo tauba ki lazzat nahin jaante hain wo sharmili aankhen wo sharmili baaten wo hansna bhi khul kar nahin jaante hain meri but-parasti bhi hai haq-parasti mera martaba ahl-e-din jaante hain bade pak tinat bade saf baatin 'riyaz' aap ko kuchh hamin jaante hain