wo haal hai ki talash-e-najat ki jae kisi faqir-e-dua-go se baat ki jae ye shahr kaisa khush-auqat tha aur ab kya hai jo din bhi nikle to wahshat na raat ki jae koi to shakl-e-guman ho koi to hila-e-khair kisi tarah to basar ab hayat ki jae gharon mein waqt-guzari ka ab hai shughl hi kya yahi ki guftugu-e-hadsat ki jae agar yahi hai ab ifa-e-ahd mein pas-o-pesh to khatm rasm-o-rah-e-iltifat ki jae husul-e-fath gharaz ho to kya baja hai ye taur tabah us ke liye kaenat ki jae muhaal hi mein kuchh aasudgi bahaal karen kahan tak aarzu-e-mumkinat ki jae kuchh aise bhi hain tahi-dast o be-nawa jin se milaen hath to khushbu na hat ki jae