jo uthi thi meri taraf kabhi dil-e-mo'tabar ki talash mein meri sari umr guzar gai usi ek nazar ki talash mein gham-e-ishq hi ko main kya kahun tere husn ko bhi nahin sukun kabhi is nazar ki talash mein kabhi us nazar ki talash mein jo yahi junun hai to mil chuki hamein manzil-e-gham-e-ashiqi usi rahguzar se guzar gae usi rahguzar ki talash mein sar-e-manzil aa ke pata chala ki qadam qadam pe fareb tha kahin ham-safar ki umid mein kahin ham-safar ki talash mein use wasl kaisa haqiqatan gham-e-hijr ka bhi to haq nahin jo tamam raat guzar de magar ek sahar ki talash mein hai ajib qismat-e-'kaif' bhi ye mila hai hasil-e-bandagi ki mazaq-e-sajda bhi kho diya kisi sang-e-dar ki talash mein